Gila berukhi ka karenge
Tumse fursat mein kabhi
Par arzi yeh bhi hai
Khuda se
Ke kabhi waqt na mile
Do mod hai raasto ke yahan se
Soch lo tumko jaana hai kahan
Ek or mai hoon
Ek taraf khwab tere
Tum suna do jo bhi hai faisla
|
Jaa rahe ho dur lekin
Yaad tum rakhna
Khwab tak mein bhi tumhara
Naam na lunga
|
Aaj tak thi zindagi
Tere liye meri
Kal agar maangoge
Toh ek shaam naa dunga
|
Jaa rahe ho dur lekin
Yaad tum rakhna
Khwab tak mein bhi tumhara
Naam na lunga
|
Deke mujhko dard
kaise Muskurate ho
Itni besharmi kaha se
Yaar laate ho
|
Jo mohabbat tumne seekhi hai
Yahan mujhse
Pyaar wo oro pe kaise
Aajmaate ho
|
Jab talak mai khud ko
Pehle sa bana na loon
Hai mujhe dil ki kasam
Aaram na lunga
|
Jaa rahe ho dur lekin
Yaad tum rakhna
Khwab tak mein bhi tumhara
Naam na lunga
|
Jaa rahe ho dur lekin
Yaad tum rakhna
Khwab tak mein bhi tumhara
Naam na lunga
|
Saamne hokar ke mere
Do jagah ho tum
Jaanta hai dil tumhara
Bewafa ho tum
|
Sach kahun toh naa
Kiya hai jo gunaah maine
Umra bhar sehta rahunga
Wo sajaa ho tum
|
Na dikhaauga tumhe mai
Mera yeh chehra
Ab kisi ka hath jab tak
Tham na lunga
|
Jaa rahe ho dur lekin
Yaad tum rakhna
Khwab tak mein bhi tumhara
Naam na lunga
|
Aaj tak thi zindagi
Tere liye meri
Kal agar mangoge toh
Ek shaam na dunga
|
Jaa rahe ho dur lekin
Yaad tum rakhna
Khwab tak mein bhi tumhara
Naam na lunga
Khwab tak mein bhi tumhara
Naam na lunga
|
Sahi dil dukhaya tha
Anjaane mein
Mujhe mashoor kar diya
Zamaane mein
|